Tuesday, June 21, 2011

Random Thoughts

Ajab haal hai maulla terey dar ka,
sajdey ko bhi ko Meyndhi intizar hota hai,

Aur kis-sey mangoon tujh ko ai khuda merey,
koi aashiq, koi faryadi, hai har koi talabgar tera...
*******
ishq ke dard ko mitaney ke hai rastei kai Qaasid,
kisi purane jakhm ko fir se kureda jaye
*******
kambhkat duniya sahi mein bahut Zalim hai Qaasid...
dil ke dard ko lateefa samjh liya
*******




__________________________© ABHISHEK KUMAR-(QAASID)

Tuesday, November 11, 2008

Aansoon

katoon sey lipat-ney ka shauk maloom hota hai...
aankhon ko bhigoney ka shauk maloom hota hai...
kya dil ka dard kam tha rulaney key liye...
ab jamaney ka dard bhi nasseb hota hai...

chaltey hua rahoon mein humko..
najaney kitney badnassebon ka saath mila...
kuch ko muskurahat baant aaye hum toh...
magar unka gum ab humarey saath kyun hota hai...

qaasid tera saaya tujh ko ek din mita jayega..
cheekhon aur siskiyoon mein daba jayega...
ab toh jagah bhi nahi apney dil mein baaki..
jahan dekho apni khushiyan hin rakeeb hoti hain...
__________________________
© ABHISHEK KUMAR-(QAASID)

Monday, May 12, 2008

MERA WAJOOD?

shayad usko dekh pana ab meri kismat main nahi ...
magar usko apney jahan sey mitaon kaisey...
merey har aang sey aati hai khushboo uski...
usko bhulaney key liye khud ko bhulaon kaisey...

ki ab bhi samjh na paya hoon wajood apna...
uskey chaley janey key baad...
jab bhi karta hoon band palkain apni...
phir aankhoon mein basi uski chavi ko hataoon kaisey...
__________________________
© ABHISHEK KUMAR-(QAASID)

MEHSOOS DIL SEY KAR KE DEKHO MUHJEY

Mehsoos dil sey kar ke dekho mujhey,
ki main ek tera hin ehsas hin hoon...
hai mera wajood teri dhadkanoo mein...
ki teri aankon mein basi main ek pyass hin hoon...

Aaj mujhey apni aankhon mein bhar key dekh...
har sapna main teri har ek aas hoon...
teri sansson mein basey har raag ki...
main har sur aur teri har awaaz hoon...

ki aaj sanam mujhey apni aawaz toh bana key dekh...
teri dil kay har arman ki main pukar hoon..
aaj mujhey tu ek baar apni zindgi bana kay dekh...
terey saath khaey har kasam ki main zimedar hoon...
__________________________
© ABHISHEK KUMAR-(QAASID)

KUAN HO TUM MEREY...

meri har baat ka jo itna khayal rakte ho...
kaya ho tum mere jo dur jaane se darte ho...
na samajh paya hoon abhi tak tujh ko mainey...
zindagi ki har rah pey phir kyun mujhey miltey ho...

lagti hai choot gar koi mujhko...
daur kar mera daman tham leytey ho...
gar kabhi aay ashq meri pallkon pey kabhi...
kyun apni palkon mein unhey bhar-letey ho...

ki kaun ho tum jo mera itna khyal rakhtey ho...
meri har saans ko siney mein basa key rakhtey ho...
merey har khwab ko paya hai tumhein poojtey huai...
meri har umeed ho imaan banakey rakhtey ho...
__________________________
© ABHISHEK KUMAR-(QAASID)

KAI MAUSAM GUZAREY TUMHAREY BINA...

Kayi mausam guzarey tumhare bina...
un sabka karz tumhe chukana hoga...
ki aab na chutey saath kabhi hamara...
issey janmon janam nibhana hoga...

naa aa paye darmiyan kuch bhi...
yun ab pakad lo mera daman...
ki rahey na koi umeed baki...
aaj kuch iss tarah sey bhar do ye aanchal...

mita do har us ranj ko...
jo liptey hain ismein meri tanhai mein...
tham loa meri har saans ko...
aaj phir sey totey na kahin...

ki kayi mausam guzarey hain tumharey bina...
ab terey bin ek pal bhi na jiya jayega...
har pal mein hai aarzo zo teri...
na paya tujhey toh main mar-jaoonga...
__________________________
© ABHISHEK KUMAR-(QAASID)

BECHAIN

milna muskil... pass ana muskil...
har nazar lagaye hai humpey pehra...

jatana muskil... khud ko mitana muskil...
meri sanson sey juda hai tera koi rishta gehra...

tadap ko dabana muskil.... aur khud ko samjhana mushkil...
ab toh har sanjh-sawerey mujhey yaad aatahai chehra tera...

kuch karo madad meri aai maula merey...
ki ab toh sajada mushkil... roza mushkil...
merey har fariyad mein tujhey paney ka hai jazba mera...
__________________________
© ABHISHEK KUMAR-(QAASID)

HUM BHI TAYYAR BAITHEY HAIN...

Na bichao nazrein hamari khatir...
hum toh terey intezar mein bathey hain...
aa chal key do kadam meri khatir...
sun-ney ko teri aawaz baithey hain..

dena kuch zor sey baan mujh ko...
ki terey aashiyaney ka pata chaley...
jo na chal sako in pathrili rahoon pey jo kabhi tum...
chal padeingay hum... hum bhi yahan tayiyar baithey hain...
__________________________
© ABHISHEK KUMAR-(QAASID)

EK BAAR LEY LO MERA NAAM

kuch un ho chuki hai teri aadat dil ko...
ki bina terey sab bey-mainey sa lagta hai...
mana hai mera saab haal terey samney...
phir bhi bahut kuch kahney ka ji karta hai...

har-su yun zid hoti hai dil ki...
ki rahey tu saath merey har pal merey samney...
gar na miley terei chavi in nigahoon ko kabhi...
beypal sey ho uth tey hain ye bhi....

har baaat jo malum hai mujh ko...
woh bhi teri juban sey suna chata hoon...
ki badi besuri si lagti hai duniya...
jab tak sunta nahi hoon teri juban sey apna naam...
__________________________
© ABHISHEK KUMAR-(QAASID)

IIRSHAA

woh kaun hai jisney mehkaya hai terey khwaboon ko...
ki ab toh terey aashiyane ka rang bhi badla sa hai...
ye kaisi hai nayi si roshni aati tery darichoon sey...
jahan kabhi veranoo ka saya sa basta tha...

bata dey naam uska.. ki jalta hai dil mera ab...
sambhal ti nahi sansein... aur ab machalta hai ji mera...
chor din hain neend ney bhi ab toh mera daman ...
samjhaon khud ko kaisey jab iss dil mein tu hin tu hai sirf basta
__________________________
© ABHISHEK KUMAR-(QAASID)

ALWIDA

These are a few thoughts written as a farewel message for the graduating seniors of one my dearest friend in her B-School in Varanasi...
^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^
karam mein utha key haanthon ko apney
hum dil sey ye dua hain kartey
ki padey jahan bhi paaon tumharey
janaat usey khuda kardey

**************************************************
mil key bichadna toh jahaan ka dastoor hai mano...
magar terey saath chalney ki khushi ta-umar raheygi humko...
mudh kar dekho gay agar tum kabhi peechey...
terey kadamon key nishanoo par padeingay saoo kadam apney...

**************************************************
kadam rakhein they jab humney iss jamin pey...
terey saaye mein mahfooj paya tha khud ko...
ab jab tum chaley jatey ho yahan sey...
teri shauhrat key sajdey hum bhi kartey hain...
**************************************************
mukam-mal kar jahaan ko apney
ki jahaan dey missalein teri...
ho fakar hum-mein bhi khud par qaasid...
kabhi tumhein humney bhi sambhala tha...
**************************************************
saath choot janey ka dard nahi humko
kabhi duri mein bhi sukun hota hai
bas yahi um-meed hai tumsey qaasid
chamakna aasman key chand sey behtar...
__________________________
© ABHISHEK KUMAR-(QAASID)