ALWIDA
These are a few thoughts written as a farewel message for the graduating seniors of one my dearest friend in her B-School in Varanasi...
^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^
karam mein utha key haanthon ko apney
hum dil sey ye dua hain kartey
ki padey jahan bhi paaon tumharey
janaat usey khuda kardey
**************************************************
mil key bichadna toh jahaan ka dastoor hai mano...
magar terey saath chalney ki khushi ta-umar raheygi humko...
mudh kar dekho gay agar tum kabhi peechey...
terey kadamon key nishanoo par padeingay saoo kadam apney...
**************************************************
kadam rakhein they jab humney iss jamin pey...
terey saaye mein mahfooj paya tha khud ko...
ab jab tum chaley jatey ho yahan sey...
teri shauhrat key sajdey hum bhi kartey hain...
**************************************************
mukam-mal kar jahaan ko apney
ki jahaan dey missalein teri...
ho fakar hum-mein bhi khud par qaasid...
kabhi tumhein humney bhi sambhala tha...
**************************************************
saath choot janey ka dard nahi humko
kabhi duri mein bhi sukun hota hai
bas yahi um-meed hai tumsey qaasid
chamakna aasman key chand sey behtar...
__________________________
© ABHISHEK KUMAR-(QAASID)
No comments:
Post a Comment